
ek parwaz dikhai di hai teri aawaz sunai di hai sirf ek safha palat kar us ne sari baaton ki safai di hai phir wahin laut ke jaana hoga yar ne kaisi rihai di hai jis ki aankhon mein kati thin sadiyan us ne sadiyon ki judai di hai zindagi par bhi koi zor nahin dil ne har chiz parai di hai aag mein kya kya jala hai shab bhar kitni khush-rang dikhai di hai
This is a great sirf tum sad shayari. Please share if you liked this!!!