ek patthar ki dast-e-yar mein hai phul banne ke intizar mein hai apni nakaamiyon pe aakhir-e-kar muskurana to ikhtiyar mein hai hum sitaron ki tarah dub gae din qayamat ke intizar mein hai apni taswir khinchta hun main aur aaina intizar mein hai kuchh sitare hain aur hum hain 'jamil' raushni jin se rahguzar mein hai