ek qurb jo qurbat ko rasai nahin deta ek fasla ehsas-e-judai nahin deta ek tirgi deti hai basarat ke qarine ek raushni wo jis mein sujhai nahin deta ek qaid hai aazadi-e-afkar bhi goya ek dam jo udne se rihai nahin deta ek aah-e-khata girya-ba-lab subh-e-azal se ek dar hai jo tauba ko rasai nahin deta ek shauq badai ka agar had se guzar jae phir main ke siwa kuchh bhi dikhai nahin deta mat puchhiye chaalakiyan meri ki mera aib ab ahl-e-nazar ko bhi dikhai nahin deta