ek raat mein sau bar jala aur bujha hun muflis ka diya hun magar aandhi se lada hun jo kahna ho kahiye ki abhi jag raha hun sounga to so jaunga din bhar ka thaka hun qindil samajh kar koi sar kat na le aae tajir hun ujale ka andhere mein khada hun sab ek nazar phenk ke badh jate hain aage main waqt ke show-case mein chup-chap khada hun wo aaina hun jo kabhi kamre mein saja tha ab gir ke jo tuta hun to raste mein pada hun duniya ka koi hadsa khali nahin mujh se main khak hun main aag hun pani hun hawa hun mil jaunga dariya mein to ho jaunga dariya sirf is liye qatra hun ki dariya se juda hun har daur ne bakhshi mujhe mearaj-e-mohabbat neze pe chadha hun kabhi suli pe chadha hun duniya se nirali hai 'nazir' apni kahani angaron se bach nikla hun phulon se jala hun
Please share if you liked this!!!