ek rauzan ke abhi kirdar mein hun main ghaur se dekho isi diwar mein hun main sab manazir zard se padne lage hain ya be-yaqini ke isi aazar mein hun main tut jae aasman dharti bhi phat jae kya mujhe parwa ki bazm-e-yar mein hun main zehn mein aulad hai aur ghar ki jaanib hun ruk nahin sakta abhi raftar mein hun main ghar ki har shai kyun mujhe be-nur lagti hai kya ziyaada aaj kal bazar mein hun main shohraton ka aakhiri chaara jaraem the dekhiye ab kis qadar akhbar mein hun main guftugu se kab mujhe parhez hai 'saurabh' bolta sunta magar ashaar mein hun main