ek tir nahin kya teri mizhgan ki safon mein bah jaen lahu ban ke ye hasrat hai dilon mein dariya ho to maujon mein khule is ka sarapa pagal hai hawa chikhti phirti hai banon mein teshe ki sada meri hi fariyaad thi goya meri hi tarah tha koi patthar ki silon mein yun aaj phir ek hasrat-e-nakaam pe roe jaise na the pahle kabhi aazurda-dilon mein ab subh se ta-sham hai sadiyon ki masafat har lamha-e-be-qaid hai zanjir dinon mein raston pe umadta hua phulon ka samundar hairan hun kis tarah samaya hai gharon mein khencha tha junun ne jise daman-e-hawa par dekha to wahi shakl hai mitti ki tahon mein kya theren qadam dasht-e-nawardan-e-wafa ke kanta to nahin panw mein sauda hai saron mein tausif wo yaadon ka dhuan hai ki sar-e-bazm chehre nazar aate hain charaghon ki lawon mein