ek to wada ki tumhein chhod ke jaana bhi na tha dusra koi bichhadne ka bahana bhi na tha kaghzi naw mein saman mera lakhon ka aur dariya ke siwa koi thikana bhi na tha kat kar ped makan apna banana tha magar un parindon ke makanon ko girana bhi na tha inqalab aaega sunte hain zarur aaega thak gai aankh magar us ko sulana bhi na tha roz-e-awwal se hi tum bandh ke rakhte saman ab yahan dil nahin lagta to lagana bhi na tha apne sheron se jari ki hai tere aanchal ki is se nayab mere pas khazana bhi na tha