faiz-e-taKHil se pahuncha main gulistan ke qarib

faiz-e-takhil se pahuncha main gulistan ke qarib
aa chala qafila dil ka dar-e-zindan ke qarib

jazb-e-dil le hi gaya husn-e-gurezan ke qarib
kaisa aalam hai mere dida-e-hairan ke qarib

dur hangama-e-tahzib se talat-ba-kanar
jalwa-e-mehr ki tanwir bayaban ke qarib

dil mein ek hasrat-e-khamosh ka tufan utha
fasle badhte gae manzil-e-jaanan ke qarib

kaun jaane kahan le jaegi wahshat meri
ek sahra bhi to hai shahr-e-nigaran ke qarib

main ne ashjar ke kunjon mein pukara tum ko
aa ke tum laut gae parda-e-mizhgan ke qarib

har ghadi shauq ko hai chashm-e-fusun-saz ki yaad
be-khudi le gai sahra mein ghazalan ke qarib

sahil-e-amn mein aaghosh-e-mohabbat be-kaif
kash kashti meri pahunche kabhi tufan ke qarib


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close