falak ne chand ne taron ne khud-kushi kar li tumhaare hijr ke maron ne khud-kushi kar li main apne khwab saja kar jahan jahan pahuncha wahan wahan ke nazaron ne khud-kushi kar li khizan ka rang chadha jab meri jawani par mere chaman ki bahaaron ne khud-kushi kar li kiya tha zabt magar tod kar baha dariya thake thake se kinaron ne khud-kushi kar li udasiyon se lipat kar rahi tumhaare baad mere makan ki diwaron ne khud-kushi kar li