falsafi ko bahs ke andar khuda milta nahin dor ko suljha raha hai aur sira milta nahin marifat khaliq ki aalam mein bahut dushwar hai shahr-e-tan mein jab ki khud apna pata milta nahin ghafilon ke lutf ko kafi hai duniyawi khushi aaqilon ko be-gham-e-uqba maza milta nahin kashti-e-dil ki ilahi bahr-e-hasti mein ho khair nakhuda milte hain lekin ba-khuda milta nahin ghafilon ko kya sunaun dastan-e-ishq-e-yar sunne wale milte hain dard-ashna milta nahin zindagani ka maza milta tha jin ki bazm mein un ki qabron ka bhi ab mujh ko pata milta nahin sirf zahir ho gaya sarmaya-e-zeb-o-safa kya tajjub hai jo baatin ba-safa milta nahin pukhta tabaon par hawadis ka nahin hota asar kohsaron mein nishan-e-naqsh-e-pa milta nahin shaikh-sahib barhaman se lakh barten dosti be-bhajan gae to mandir se tika milta nahin jis pe dil aaya hai wo shirin-ada milta nahin zindagi hai talkh jine ka maza milta nahin log kahte hain ki bad-nami se bachna chahiye keh do be us ke jawani ka maza milta nahin ahl-e-zahir jis qadar chahen karen bahs-o-jidal main ye samjha hun khudi mein to khuda milta nahin chal base wo din ki yaron se bhari thi anjuman hae afsos aaj surat-ashna milta nahin manzil-e-ishq-o-tawakkul manzil-e-ezaz hai shah sab baste hain yan koi gada milta nahin bar taklifon ka mujh par bar-e-ehsan se hai sahl shukr ki ja hai agar hajat-rawa milta nahin chandni raaten bahaar apni dikhati hain to kya be tere mujh ko to lutf ai mah-laqa milta nahin mani-e-dil ka kare izhaar 'akbar' kis tarah lafz-e-mauzun bahr-e-kashf-e-muddaa milta nahin
Please share if you liked this!!!