faqat shor-e-dil-e-pur-arzu tha na apne jism mein hum the na tu tha har ek ke panw par jhukte kati umr na samjhe hum ki kis qalib mein tu tha jahan pahunche usi ka nur paya jidhar dekha wahi khurshid-ru tha jagah daman mein apne kyun na dete ki tifl-e-ashk apna hi lahu tha kahun kya dil ki main nazuk-mizaji khuda bakhshe nihayat tund-khu tha main kaifiyyat kahun kya bazm-e-mai ki ki mina hath mein aankhon mein tu tha ghash aaya us ne tauli tegh jab jab ajab halka hamara bhi lahu tha bahut dhunda kahin paya na hum ne bata de ye ki kis goshe mein tu tha bacha qatil ka daman lillahil-hamd bahut khaula hua apna lahu tha udu the saqiya sab mai-kade mein yahi ek aas thi palle pe tu tha libas-e-kuhna jab tha apna sad-chaak to phir bekar paiwand o rafu tha ghazab mein aa ke tujh ko todta shaikh natija bahas ka kya ai subu tha teri taswir the hum bhi kisi waqt yahi naqsha hamara hu-ba-hu tha nazar mein hech tha kaunain saqi labaalab jam tha hum the subu tha saza laghzish ki pate bazm mein hum khuda ko khair karna tha ki tu tha hum apne hosh mein baqi the har tarah magar jab tu hamare ru-ba-ru tha tujhi se munh phula lete ajab kya saba ghunchon ka bhi aakhir numu tha chale hum bagh se ai 'shad' kis waqt bahaar aane ko thi gul ka numu tha
This is a great ghalib shayari on eyes. True lovers of hamd ki shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore urdu shayari funny. Please share if you liked this!!!