faraham jis qadar ishrat ke saman hote jate hain

faraham jis qadar ishrat ke saman hote jate hain
sukun-e-ruh se mahrum insan hote jate hain

kabhi tarz-e-taghaful the yahi andaz-e-mahbubi
jo ab sarf-e-nawazish-ha-e-pinhan hote jate hain

shabab-o-husn-e-roz-afzun ka un ke kuchh ye aalam hai
ki hum sharminda-e-shauq-e-farawan hote jate hain

abhi jam-e-mai-e-rangin lab-e-lalin tak aaya hai
magar aankhon mein maikhane se ghaltan hote jate hain

faza-e-khuld par jaise ghataen chhai jati hon
rukh-e-gul-rang par gesu pareshan hote jate hain

nafas ki aamad-o-shud ka ye aalam hai judai mein
ki nashtar jaise paiwast-e-rag-e-jaan hote jate hain

taalallah faiz-e-baghban 'bismil' taalallah
khas-o-khashak-e-gulshan gul-ba-daman hote jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close