fareb-e-husn se gabr-o-musalman ka chalan bigda khuda ki yaad bhula shaikh but se barhaman bigda qaba-e-gul ko phada jab mera gul-pairahan bigda ban aai kuchh na ghunche se jo wo ghuncha-dahan bigda nahin be-wajah hansna is qadar zakhm-e-shahidan ka teri talwar ka munh kuchh na kuchh ai tegh-zan bigda takalluf kya jo khoi jaan-e-shirin phod kar sar ko jo thi ghairat to phir khusraw se hota kohkan bigda kisi chashm-e-siyah ka jab hua sabit main diwana tu mujh se sust hathi ki tarah jangali hiran bigda asar iksir ka yumn-e-qadam se teri paya hai jozami khak-e-rah mal kar banate hain badan bigda teri taqlid se kabk-e-dari ne thokaren khain chala jab jaanwar insan ki chaal us ka chalan bigda zawal husn khilwata hai mewe ki qasam mujh se lagaya dagh khat ne aan kar seb-e-zaqan bigda rukh-e-sada nahin us shokh ka naqsh-e-adawat se nazar aate hi aapas mein har ahl-e-anjuman bigda jo bad-khu tifl-e-ashk ai chashm-e-tar hain dekhna ek din gharaunde ki tarah se gumbad-e-charkh-e-kuhan bigda saf-e-mizhgan ki jumbish ka kiya iqbaal ne kushta shahidon ke hue salar jab hum se tuman bigda kisi ki jab koi taqlid karta hai main rota hun hansa gul ki tarah ghuncha jahan us ka dahan bigda kamal-e-dosti andesha-e-dushman nahin rakhta kisi bhanwre se kis din koi mar-e-yasman bigda rahi nafrat hamesha dagh-e-uryani ko phae se hua jab qata jama par hamare pairahan bigda ragadwain ye mujh se ediyan ghurbat mein wahshat ne hua masdud rasta jada-e-rah-e-watan bigda kaha bulbul ne jab toda gul-e-sausan ko gulchin ne ilahi khair kijo nil-e-rukhsar-e-chaman bigda irada mere khane ka na ai zagh-o-zaghan kijo wo kushta hun jise sunghe se kutton ka badan bigda amanat ki tarah rakkha zamin ne roz-e-mahshar tak na ek mu kam hua apna na ek tar-e-kafan bigda jahan khali nahin rahta kabhi iza-dahindon se hua nasur-e-nau paida agar zakhm-e-kuhan bigda tawangar tha bani thi jab tak us mahbub-e-alam se main muflis ho gaya jis roz se wo sim-tan bigda lage munh bhi chidhane dete dete galiyan sahab zaban bigdi to bigdi thi khabar lije dahan bigda banawat kaif-e-mai se khul gai us shokh ki 'atish' laga kar munh se paimane ko wo paiman-shikan bigda