fasadon ke liye rahen yun samjho khol deta hai umadti bhid se jaane wo kya kuchh bol deta hai na samjha aaj tak koi bhi us ki is siyasat ko kisi key jholi bharta hai kise kashkol deta hai tum us ke zulm ka logo lagao is se andaza wo rassi kat kar hathon mein jis dam dol deta hai banata hai sada hum ko tashaddud ka nishana wo faza-e-amn mein zahr-e-halahil ghol deta hai wo daulat jis ka duniya mein nahin hai koi bhi 'sani' moallim sari duniya ko wo shai anmol deta hai