fasana ab koi anjam pana chahta hai talluq tutne ko ek bahana chahta hai jahan ek shakhs bhi milta nahin hai chahne se wahan ye dil hatheli par zamana chahta hai mujhe samjha rahi hai aankh ki tahrir us ki wo aadhe raste se laut jaana chahta hai ye lazim hai ki aankhen dan kar de ishq ko wo jo apne khwab ki tabir pana chahta hai bahut ukta gaya hai be-sukuni se wo apni samundar jhil ke nazdik aana chahta hai wo mujh ko aazmata hi raha hai zindagi bhar magar ye dil ab us ko aazmana chahta hai use bhi zindagi karni padegi 'mir' jaisi sukhan se gar koi rishta nibhana chahta hai