fasana-e-gham-e-dil mukhtasar nahin hota ab us gali se hamara guzar nahin hota hazar aise ki phirte hain jo khalaon mein magar ek hum ki watan mein safar nahin hota jise masil samajhte ho be-misal hai wo jo ek bar ho bar-e-digar nahin hota khud apna sath bhi hum ko giran guzarta hai safar wahi hai jahan ham-safar nahin hota amir us ka lahu pi raha hai barson se magar gharib pe koi asar nahin hota khala se guzre hain mirrikh par bhi pahunche hain magar kisi ka falak par guzar nahin hota