fasil-e-dard ko mismar karne wali hun main aansuon ki nadi par karne wali hun mujhe khuda ki raza se hai wasta har dam main khud-numai se inkar karne wali hun ye us ki marzi ki iqrar wo kare na kare main aaj khwahish-e-izhaar karne wali hun wo jis ne ki hai hamesha mukhalifat meri usi ko apna madad-gar karne wali hun wafa ki rah mein khud ko tabah kar ke main tamam shahr ko bedar karne wali hun koi na dale nigah-e-ghalat ki main apne nihatte hathon ko talwar karne wali hun