fasil-e-shahr ko jab tak gira nahin denge hamein ye log kabhi rasta nahin denge tamam umr jo chehre ko apne padh na sake hum un ke hathon mein ab aaina nahin denge ghutan ho aisi ki tum khul ke sans le na sako tumhein hum is se ziyaada saza nahin denge tujhe duboenge khud tere hashiya-bardar hum apni rah se tujh ko hata nahin denge ye bazm-e-sher-o-adab kab kisi ki hai miras jo nasl gungi ho hum jaeza nahin denge wo jin ke nam se hum zahr pi gae 'nayyar' hum un ke haq mein kabhi bad-dua nahin denge