fasil shahr ki itni buland o sakht hui ki kul sipah mazamin-e-taj-o-takht hui bujha charagh thi main hasidon ki aankhon mein dua ke shahr mein aai to sabz bakht hui wo lamha jab mere bachche ne man pukara mujhe main ek shakh se kitna ghana darakht hui kisi ne sabz jazire pe mujh ko rok liya safar ke azm ki naw bhi lakht lakht hui talluqat 'humaira' kabida hone mein nigah-e-dost ki aawaz bhi karakht hui