fasl-e-rasan-o-dar mein aa hum ne suna hai paigham tera zulf-e-rasa hum ne suna hai rangin nazar aate hain tere kucha-o-bazar guzra hai koi aabla-pa hum ne suna hai kya baat hai us kucha-e-dildar ki yaro phirti hai kai din se saba hum ne suna hai dekhi hai tere aariz-e-gul-rang mein bijli kahte teri zulfon ko ghata hum ne suna hai ye rang ye khushbu ye chamakti hui rahen tuta hai koi band-e-qaba hum ne suna hai 'dilkash' jo kahen bhi to kahen kis se gham-e-dil apna to sanam hai na khuda hum ne suna hai