faza-e-dahr mein bekar diwane nahin aae

faza-e-dahr mein bekar diwane nahin aae
samajhne aae hain duniya ko samjhane nahin aae

khudawanda na rakhna un buton se tu juda hum ko
ki hum jannat mein ulfat ki saza pane nahin aae

zamin se aasman tak ek virani si thi tari
hudud-e-kun mein jab tak un ke diwane nahin aae

ye un ki bazm hai kuchh tera mai-khana nahin saqi
yahan apne nahin aae ki begane nahin aae

bahaaron ko chaman mein aae ek muddat hui lekin
bahaaren jin pe qurban hon wo diwane nahin aae

tadap kar rah gaya dil be-hisi-e-ishq par aksar
huzur-e-husn jab ulfat ke nazrane nahin aae

sunata kis tarah rudad-e-ulfat un ko ai 'musa'
ki roab-e-husn se honton pe afsane nahin aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close