fikr-o-nazar ke bab jahan mustarad hue

fikr-o-nazar ke bab jahan mustarad hue
jahl-o-junun ke khwab jahan mustanad hue

ek sail-e-be-aman hai mere gham ka karwan
kya kya hasin log sipurd-e-lahad hue

diwangi kabhi mera maslak nahin rahi
gum aa ke teri bazm mein hosh-o-khirad hue

aansu ka mere rang tab-o-tab wo kahan
daman mein yun to aap ke gulha-e-sad hue

duniya samajh rahi thi ki bad-kar hain magar
badnam pahle hum hue phir ja ke bad hue

main bahr-e-be-karan si mohabbat ka hun amin
aansu tumhaari chah mein meri sanad hue

ghairon ko tham kar na hamein be-maqam kar
hum har khushi se tere liye na-balad hue

ilham nazm karte rahe hain 'nawed' hum
shair the ahl-e-zar to na the mustarad hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close