firaq se bhi gae hum visal se bhi gae subuk hue hain to aish-e-malal se bhi gae jo but-kade mein the wo sahiban-e-kashf-o-kamal haram mein aae to kashf-o-kamal se bhi gae usi nigah ki narmi se dagmagae qadam usi nigah ke tewar sambhaal se bhi gae gham-e-hayat o gham-e-dost ki kashakash mein hum aise log to ranj-o-malal se bhi gae gul o samar ka to rona alag raha lekin ye gham ki farq-e-haram-o-halal se bhi gae wo log jin se teri bazm mein the hangame gae to kya teri bazm-e-khayal se bhi gae hum aise kaun the lekin qafas ki ye duniya ki par-shikaston mein apni misal se bhi gae charagh-e-bazm abhi jaan-e-anjuman na bujha ki ye bujha to tere khatt-o-khal se bhi gae