fursat ek dam ki hai jun habab pani yan khak ser ho kije sair-e-zindagani yan ab to munh dikha apna kash ke tu ai piri mil gai teri khatir khak mein jawani yan kya ye pairahan tan ka jun habab chamke tha bandhi hai hawa meri tu ne na-tawani yan waqt-e-girya mauzun ho kyun na aah ka misra rafta rafta ashk apna ban gaya fughani yan jaan-e-man mujhe har dam tera pas-e-khatir hai is liye main karta hun dam ki pasbani yan us ke tir-e-mizhgan se ho gaya jo dil chhalni besha-e-niyastan ki hum ne khak chhani yan gher tu ne jame ka be-tarah badhaya hai ab zamin napega daur-e-asmani yan aage us ki qamat ke ek din jo akda tha khub sa bana sidha sarw-e-bostani yan yar ki gali main tu ja ke baith mat rahna haal par mere rakhna chashm-e-mehrbani yan qasid-e-sarishk apni tujh se hai gharaz itni khae gar wahan khana pijo aa ke pani yan khar se khalish rakhna ai 'nasir' beja hai hai ye aabla-pai wajh-e-sar-girani yan