gali akeli hai pyare andheri raaten hain agar milo to sajan sau tarah ki ghaten hain butan sin mujh kun tu karta hai mana ai zahid raha hun sun ki ye bhi khuda ki baaten hain azal sin kyun ye abad ki taraf kun dauden hain wo zulf dil ke talab ki magar baraaten hain raqib ijz sin maqul ho sake hain kahin ilaj un ka magar jhagden hain wa laten hain karo karam ki nigahan taraf faqiron ki nisab-e-husn ki sahab yahi zakaten hain rahin falak ke sada her-pher mein namard ye randiyan hain ki charkha hamesha katen hain likhunga 'abru' ab khush-nayan kun main nama palak qalam hain meri mardumuk dawaten hain