gali gali teri shohrat nahin karunga main ab aisi hijr mein haalat nahin karunga main hamesha kaam bigada hai be-qarari ne wo ab milega to ujlat nahin karunga main tu pas baith mere mujh se baat kar koi qasam khuda ki shararat nahin karunga main dukha diya jo mohabbat ne aaj mera dil to kya dobara mohabbat nahin karunga main hawa-e-sham ki marzi hai jis tarah bhi chale ab us se koi shikayat nahin karunga main