gali se apni uthata hai wo bahane se main be-khabar rahun duniya ke aane jaane se kabhi kabhi to ghanimat hai yaad rafta ki bitha na roz laga ke use sirhane se ajib shakhs tha main bhi bhula nahin paya kiya na us ne bhi inkar yaad aane se utha rakhi hai kisi ne kaman suraj ki gira raha hai mere raat din nishane se koi sabab to hai aisa ki ek umr se hain zamana mujh se khafa aur main zamane se