gar ghair ke ghar se na dil-aram nikalta dam kahe ko yun ai dil-e-nakaam nikalta main wahm se marta hun wahan roab se us ke qasid ki zaban se nahin paigham nikalta karte jo mujhe yaad shab-e-wasl adu tum kya subh ki khurshed na ta-sham nikalta jab jaante tasir ki dushman bhi wahan se apni tarah ai gardish-e-ayyam nikalta har ek se us bazm mein shab puchhte the nam tha lutf jo koi mera hamnam nikalta kyun kaam talab hai mere aazar se gardun nakaam se dekha hai kahin kaam nikalta thi nauha-zani dil ki janaze pe zaruri shayad ki wo ghabra ke sar-e-baam nikalta kanta sa khatakta hai kaleje mein gham-e-hijr ye khar nahin dil se gul-andam nikalta huren nahin 'momin' ke nasibon mein jo hoen but-khane hi se kyun ye bad-anjam nikalta