gar kijiye insaf to ki zor wafa main khat aate hi sab chal gae ab aap hain ya main tum jin ki sana karte ho kya baat hai un ki lekin tuk idhar dekhiyo ai yar bhala main rakhta hai kuchh aisi wo barahman bacha raftar but ho gaya dhaj dekh ke jis ki ba-khuda main yaro na bandhi us se kabhu shakl-e-mulaqat milne ko to us shokh ke tarsa hi kiya main jab main gaya us ke to use ghar mein na paya aaya wo agar mere to dar khud na raha main kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda' saghar ko mere hath se lijo ki chala main