gar yaad mein saqi ki saghar nazar aa jae paimana-e-dil chhalke munh ko jigar aa jae aks-e-rukh saqi ko gar dekh lun saghar mein kuchh dil ke bahalne ki surat nazar aa jae tayyar raho har-dam marne pe kamar bandhe dar-pesh-e-khuda jaane kab ye safar aa jae han sair tu kar ghafil us gor-e-ghariban ki anjam tujhe apna shayad nazar aa jae phir jaen hamesha ko duniya se meri aankhen marte dam agar jalwa tera nazar aa jae shor-e-nafas-e-bulbul se hosh uden sab ke gar zamzama-sanji par ye musht-e-par aa jae bimar-e-mohabbat ki ab hai ye dua har-dam phir sham na ho jis ki aisi sahar aa jae behtar hai kham-o-saghar aankhon se rahen ojhal aisa na ho shishe par dil tut kar aa jae 'yas' aap ki be-jurmi aade nahin aa sakti gar baat par apni wo bedad-gar aa jae