garche baatil ko na-pasand raha

garche baatil ko na-pasand raha
nara-e-haq magar buland raha

jis ne arz-e-niyaz bhi na suni
dil usi ka niyaz-mand raha

pi liya zahr-e-talkhi-e-ayyam
phir bhi lahja hamara qand raha

be-hisi thi mere taaqub mein
is liye main fasil-band raha

sar-nigun ratjagon ko hona pada
parcham-e-khwab sar-buland raha

kya mile us se ek bar 'sukhan'
mauj mein fikr ka samand raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close