garche is buniyaad-e-hasti ke anasir chaar hain

garche is buniyaad-e-hasti ke anasir chaar hain
lekin apne nist ho jaane mein sab na-chaar hain

dosti aur dushmani hai in butan ki ek si
chaar din hain mehrban to chaar din bezar hain

ji koi mansur ke jun jaan karte hain fida
we sipahi aashiqon ki fauj ke sardar hain

ye jo sajti hai katari-dar mashru ki izar
marne ke waqt aashiq ke nangi tarwar hain

dosti aur pyar ki baaton pe khuban ki na bhul
shokh hote hain nipat ayyar kis ke yar hain

jo nasha jwani ka utrega to khinchenge khumar
ab to khuban sab sharab-e-husn ke sarshaar hain

kis tarah chashmon seti jari na ho dariya-e-khun
thal na paira 'abru' hum war aur we par hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close