gardishon se yun ubhar jaane ko ji chahta hai sham se pahle hi ghar jaane ko ji chahta hai tum ko rakhna hai rakho tark-e-talluq ka bharam mera wade se mukar jaane ko ji chahta hai mulk-o-mazhab ke qawanin to sar aankhon par ishq mein had se guzar jaane ko ji chahta hai farsh-e-duniya pe main muddat se jiya hun ab to chand-taron se guzar jaane ko ji chahta hai baad marne ke mujhe yaad rakhe ye duniya kaam kuchh aise bhi kar jaane ko ji chahta hai zindagi di hai usi ne wahi marega magar in dinon yun hai ki mar jaane ko ji chahta hai bin bulawa main kabhi 'nazr' na jata hun kahin bazm hai un ki magar jaane ko ji chahta hai