gareban-chaak majnun ban se nikla main le kar dhajjiyan daman se nikla kahin jalwa bhi parde mein raha hai wo dekho nur ek chilman se nikla junun ne rah ye achchhi nikali gareban pahad kar daman se nikla bahaar aai chaman mein khil gae phul koi hansta hua gulshan se nikla rawani ashk ki hoti nahin band ajab dariya mere daman se nikla khizan aai madine ke chaman mein 'sharaf' rota hua gulshan se nikla