garm-joshi ke nagar mein sard-tanhai mili

garm-joshi ke nagar mein sard-tanhai mili
chandni us paikar-e-khaki ko gahnai mili

bujh gaya phir sham ke sahra mein suraj ka khayal
phir mah-o-anjum ko ji uthne ki ruswai mili

phir koi misl-e-saba aaya hai sahn-e-khwab mein
phir mere har zakhm ko yaadon ki purwai mili

ek purane naqsh ke manind suraj bujh gaya
shab ke shane par sitaron ki ghata chhai mili

khub-surat aankh ko ek jhil samjha tha magar
tairne utra to sagar ki si gahrai mili

phir faza mein rach gai hai zakhm-e-taza ki mahak
phir meri palkon ko 'shahin-badr' goyai mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close