garm zamin par aa baiThe hain KHushk lab-e-mahrum liye

garm zamin par aa baithe hain khushk lab-e-mahrum liye
pani ki ek bund na pai baadal baadal ghum liye

saj rahe honge nazuk paude chal rahi hogi narm hawa
tanha ghar mein baithe baithe soch liya aur jhum liye

aangan ki manus faza mein khwabon ne zanjir buni
baad mein jhuk kar apne sae diwaron ne chum liye

main ne kitne raste badle lekin har raste mein 'farogh'
ek andhera sath raha hai raushniyon ke hujum liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close