ghaDi ghaDi use roko ghaDi ghaDi samjhao

ghadi ghadi use roko ghadi ghadi samjhao
magar ye dil hai ki kuchh dekhta hai aao na tao

ab us ke dard ko dil mein liye tadapte ho
kaha tha kis ne ki us khush-nazar se aankh milao

ajab tarah ke jhamele hain ishq mein sahab
barat sako to ho malum aate dal ka bhaw

chalo wo agla sa josh-o-kharosh to na raha
magar ye kya ki milo aur hath bhi na milao

nazar hai shart haqiqat ko dekhne ke liye
ki har bigad mein hote hain sau tarah ke banaw

hamare haal ka kya hai sudhar hi jaega
magar ye baat ki tum apni uljhi lat suljhao

hamari umr bhi guzri hai is kharabe mein
kahan ke hote hain ye log ahl-e-ishq hatao

kabhi khilo bhi ye kya hai ki 'aftab-husain'
pade raho yunhi ghar par kisi ke aao na jao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close