gham-e-dil ka bayan chhod gae hum ye apna nishan chhod gae teri dahshat se bagh mein sayyaad murgh sab aashiyan chhod gae rah mein mujh ko ham-rahan mere jaan ko na-tawan chhod gae nafrat aai sag-o-huma ko kya jo mere ustukhwan chhod gae chalte chalte bhi ye jafa-keshan hath mujh par nidan chhod gae kisi dar par unhon ko ja na mili jo tera aastan chhod gae safar is dil se kar gae gham-o-dard yar suna makan chhod gae safha-e-rozgar par likh likh ishq ki dastan chhod gae le gae sab badan zamin mein hum 'mushafi' ek zaban chhod gae