gham-e-jaanan ke siwa kuchh hamein pyara na hua hum kisi ke na hue koi hamara na hua kya usi ka hai wafa nam-e-mohabbat hai yahi mehrban hum pe kabhi wo sitam-ara na hua lakh tufan-e-hawadis ne qadam tham liye meri ghairat ko palatna bhi gawara na hua dil wahi dil hai haqiqat ki nazar mein ai dil sard jis dil mein mohabbat ka sharara na hua dhundhta aaega kal ahl-e-mohabbat ko yahi gham nahin aaj zamana jo hamara na hua ahl-e-duniya ne masarrat hi masarrat chahi hum ko is gham ke siwa kuchh bhi gawara na hua jaan di hai dil-e-khuddar ne kis mushkil se aaj baalin pe wo khud-bin-o-khud-ara na hua aankh su-e-haram-o-dair kabhi uth jati ishq ki rah mein ye bhi to gawara na hua khak chhani chaman-o-dasht ki barson 'faizi' aah taskin-e-nazar koi nazara na hua