gham-e-khashak kya shoale ko hoga wo raqsan khud hi ek lamhe ko hoga chatanon ki shikast aasan nahin hai bil-akhir tutna shishe ko hoga khayal-e-dushmanan hoga to wo bhi kisi mujh se hi dil wale ko hoga ye ghar to ghar jabhi kahlaenge jab gham-e-ham-saya ham-sae ko hoga main jab guzrunga is johd-e-safar se mara pichhla qadam uthne ko hoga wo shor uthne laga bahar ki ab to bachana ghar ke sannate ko hoga zamane ko bhi hum ne kab kiya khush zamana hum se khush kahe ko hoga