gham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha hun bikhre hue daman pe guhar dekh raha hun ai husn-e-rukh-e-yar jidhar dekh raha hun ek hasb-e-takhayyul o nazar dekh raha hun ek nur ki duniya hai meri shauq ki manzil har zarre ko khurshid-e-nazar dekh raha hun tum aur abhi husn ke pardon ko uthao main aaj had-e-tab-e-nazar dekh raha hun har aah sharar-khez hai murghan-e-qafas ki daman-e-fughan shoala-asar dekh raha hun yun kakul-o-rukh apne tasawwur mein hain 'jumbish' ek marhala-e-sham-o-sahar dekh raha hun