gham ki basti ajib basti hai maut mahngi hai jaan sasti hai main use kyun idhar-udhar dhundun meri hasti hi us ki hasti hai aalam-e-shauq hai ajab aalam aasman par zamin basti hai jaan de kar jo zindagi pai main samajhta hun phir bhi sasti hai gham hai khane ko ashk pine ko ishq mein kya faragh-e-dasti hai khak-sari ki shan kya kahiye kis qadar auj par ye pasti hai chaak-e-daman zindagi hai 'ratan' ye junun ki daraaz-dasti hai