gham ki bhatti mein ba-sad-shauq utar jaunga tap ke kundan sa main ek roz nikhar jaunga zindagi dhang se main kar ke basar jaunga kaam neki ke zamane mein main kar jaunga mar ke jaana hai kahan mujh ko nahin ye malum rah ke duniya mein koi kaam to kar jaunga gham utha lunga jo bakhshega zamana mujh ko tere daman ko to khushiyon se main bhar jaunga dekhta jaunga mud mud ke tumhaari jaanib chhod kar jab main tumhaara ye nagar jaunga khak par girne se mit jaegi hasti meri ban ke aansu tere daman pe thahar jaunga lakh be-rang ho taswir jahan ki lekin rang taswir ke khake mein main bhar jaunga tu ne ek bar haqarat se jo dekha ai dost main zamane ki nigahon se utar jaunga main to badhta hi rahunga rah-e-haq mein ai 'nur' kyun samajhti hai ye duniya ki main dar jaunga