gham ko ghazlon mein saja kar husn paida kar liya

gham ko ghazlon mein saja kar husn paida kar liya
main ne apne dard ka bhi ek tamasha kar liya

main ne bhi main thik hun kah kar nigahen pher lin
tu ne bhi is jhut par rasman bharosa kar liya

justuju teri thi phir kya dhup kaisi tishnagi
wusat-e-sahra mein in aankhon ko dariya kar liya

ek ta'alluq yaad ka bachta hai jis par bas nahin
baqi jaisa tu ne chaha main ne waisa kar liya

kitni hi be-khwab raaten bad-hawasi shaeri
khud ko teri yaad mein 'jaun-eliya' sa kar liya

mutrib-e-saz-e-shikasta shair-e-ashufta-sar
ek teri furqat mein main ne khud ko kya kya kar liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close