gham o nashat ki har rahguzar mein tanha hun mujhe khabar hai main apne safar mein tanha hun mujhi pe sang-e-malamat ki barishen hongi ki is dayar mein shorida-sar mein tanha hun tere khayal ke jugnu bhi sath chhod gae udas raat ke sune khandar mein tanha hun giran nahin hai kisi par ye raat mere siwa ki mubtila main ummid-e-sahar mein tanha hun na chhod sath mera in akeli rahon mein dil-e-kharab tera ham-safar main tanha hun wo be-niyaz ki dekhi ho jaise ek duniya mujhe ye naz main us ki nazar mein tanha hun mujhi se kyun hai khafa mera aaina 'makhmur' is andhe shahr mein kya khud-nigar main tanha hun