gham ro ro ke kahta hun kuchh us se agar apna to hans ke wo bole hai miyan fikr kar apna rone se tere kya kahen ai dida-e-khun-bar ye khak mein milta hai dil apna jigar apna gar baithte hain mahfil-e-khuban mein hum us bin sar zanu se uthta nahin do do pahar apna lana hai to hamdam use la jald ki hum ko ahwal nazar aae hai nau-e-digar apna baaton se kate kis ki bhala rah hamari ghurbat ke siwa koi nahin ham-safar apna aalam mein hai ghar ghar khushi-o-aish par us bin matam-kada hum ko nazar aata hai ghar apna ya aankhon se ek aan na hota tha wo ojhal ya jalwa dikhata nahin ab ek nazar apna har baat ka behtar hai chhupana hi ki ye bhi hai aib kare koi jo zahir hunar apna gar ru-ba-ru us ke kisi gham-khwar ko chupke kuchh haal sunata hun main ba-chashm-e-tar apna to kya kahun kahta hai ajab shakl se mujh ko kuchh honton hi honton mein wo munh pher kar apna kya kya use dekh aati hai 'jurat' hamein hasrat mayus jo phir aata hai paigham-bar apna