gham se kis ne najat pai hai
By ghulam-rabbani-naeemApril 19, 2021
gham se kis ne najat pai hai
hans ke ji lo to kya burai hai
baat ye ab samajh mein aai hai
khamushi mein badi bhalai hai
hum hain raunaq badhane walon mein
anjuman aap ne sajai hai
zindagi dur dur hai aise
jaise apni nahin parai hai
aandhiyon ko koi khabar kar de
hum ne ek shama phir jalai hai
ab usi ko bhala samajh lijiye
nsibatan jis mein kam burai hai
jab bhi hum se nazar mili hai 'naim'
maut sharma ke muskurai hai
hans ke ji lo to kya burai hai
baat ye ab samajh mein aai hai
khamushi mein badi bhalai hai
hum hain raunaq badhane walon mein
anjuman aap ne sajai hai
zindagi dur dur hai aise
jaise apni nahin parai hai
aandhiyon ko koi khabar kar de
hum ne ek shama phir jalai hai
ab usi ko bhala samajh lijiye
nsibatan jis mein kam burai hai
jab bhi hum se nazar mili hai 'naim'
maut sharma ke muskurai hai
81472 viewsghazal • English