gham tera jalwa-gah-e-kaun-o-makan hai ki jo tha yani insan wahi shoala-ba-jaan hai ki jo tha phir wahi rang-e-takallum nigah-e-naz mein hai wahi andaz wahi husn-e-bayan hai ki jo tha kab hai inkar tere lutf-o-karam se lekin tu wahi dushman-e-dil dushman-e-jaan hai ki jo tha ishq afsurda nahin aaj bhi afsurda bahut wahi kam kam asr-e-soz-e-nihan hai ki jo tha qurb hi kam hai na duri hi ziyaada lekin aaj wo rabt ka ehsas kahan hai ki jo tha nazar aa jate hain tum ko to bahut nazuk baal dil mera kya wahi ai shisha-giran hai ki jo tha jaan de baithe the ek bar hawas wale bhi phir wahi marhala-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha husn ko khinch to leta hai abhi tak lekin wo asar jazb-e-mohabbat mein kahan hai ki jo tha aaj bhi said-gah-e-ishq mein husan-e-saffak liye abru ki lachakti si kaman hai ki jo tha phir teri chashm-e-sukhan-sanj ne chhedi koi baat wahi jadu hai wahi husn-e-bayan hai ki jo tha phir sar-e-mai-kada-e-ishq hai ek barish-e-nur chhalke jamon se charaghan ka saman hai ki jo tha phir wahi khair-nigahi hai tere jalwon se wahi aalam tera ai barq-e-daman hai ki jo tha aaj bhi aag dabi hai dil-e-insan mein 'firaq' aaj bhi sinon se uthta wo dhuan hai ki jo tha