gham zaruri tha bahut aansu ke banne ke liye

gham zaruri tha bahut aansu ke banne ke liye
jabr bhi to chahiye aansu nikalne ke liye

ai charagho yun bhi hoga ye hawa tum se dare
daimi jalna padega shams banne ke liye

jumbish-e-chashm-o-lab-o-rukhsar ki ranaiyan
bas yahi kafi hai un ko yaad rakhne ke liye

main bana mitti se hun aur ye to hai rang-e-bashar
main simatta hi gaya phir se bikharne ke liye

panchhiyon ke beach mein tum mat karo zikr-e-bashar
par nahin hai hausla buniyaad udne ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close