ghamon ki aag pe sab Khaal-o-KHad sanware gae

ghamon ki aag pe sab khal-o-khad sanware gae
ye kaise karb ke aalam se hum guzare gae
hua hai is liye bhi sogwar-o-nauha-kunan
hujum-e-shahr mein hum log la ke mare gae
bisat-e-waqt pe kheli gai hai jab bazi
hamin to khel mein har samt rakh ke haare gae
wo chand tut gaya jis se raat raushan thi
chamak rahe the falak par jo sab sitare gae
jahan jahan se bhi guzre hujum-e-matam mein
shagufta phul se chehre qaza pe ware gae
'figar' aag kahan ab dhuan bhi mushkil hai
wo shab ko os padi hai ki sab sharare gae

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close